Sunday, January 27, 2008

Rahe Wafa Main

Raah-e-Wafa main har su kaantay,Dhoop Ziyada sayye Kam,
Magar is raah per chalnay walay khush hi rehay,Pachtaye kam,


Umar guloon ki 2 din jis main yeh bhi Qayyamat beet gai,
K dast-e-Hawas nay nochay ziyada,Shaakhon per murjhaey kam,


Aah! yeh zaalim talkh haqeeqat,Jitnay bhi safeenay gharq hoay,
Aksar apni hi moaj main doobay , Toufaan say takraaye kam,


Dheemi dheemi chaal say hum ko yeh Rahguzar tai kerni hai,
Naaz tha jin ko apni taiz ravi per , Manzil tak woh aye kam,


Mujh say shikayat Duniya bhar ko,Shiddat-e-gham main ronay ki,
Mujh ko is ka roona kay aank main ansoo aye kam,


Ishq addab ka naam hai kaifi,Yeh bhi addab main shaamil hai,
Jis ki muhabbat dil main bassi ho us ki gali main jaye kam,

No comments:

Power Clicks