Thursday, January 24, 2008

Labon Pe Harf ....

Labon pey harf na koi sawal rkhta tha
Kabi mein zabt mein itna kamal rkhta tha

Khabr kahan thi mujhe wo bhol jaye ga
Ik ik cheez jo meri sanbhal rakhta tha

Bichrty waqt bazahir to kuch na bola
Magr nigah mein so so sawal rkhta tha

Tum aye ho to sadayen suni yahan warna
Dil-shakusta badan ko nidhal rkhta tha

Wo muskara kr barhi dher chup rha
Hansi ki oat mein jaisy malal rkhta tha

Suna hai diya log usy boht sitaty hein
Jis shukhs ka kabi koi khiyal rkhta tha

No comments:

Power Clicks