Thursday, January 17, 2008

Jo Dard Dil Mein Hay

Jo dard dil mein hai bataya nahi jata
Jo dil pe guzra hai sunaya nahi jata


Zakhm aisa diya us zalim ne hamein
Ki us zakhm per marham lagaya nahi jata


Us bewafa ne na ki hum se wafa kabhi
Phir bhi us bewafa ko bewafa kaha nahi jata


Nazar ata hai jab bhi kahin wo hamein
To in ankhoun pe pehra lagaya nahi jata


Yaad ata hai wo her mehfil aur tanhai mein
Pata nahi kyoun us zalim ko bhulaya nahi jata


Kehta hai zamana hamein muskurane ko aye Niazi
Is dard bhare dil se muskuraya nahi jata

No comments:

Power Clicks