Bhanwar ki godd main jaisay kinara sath rahta hai...
Khuch aisay hi tumhara or humara sath rahta ha...
Mohabat ho k nafrat ho osi say maswara ho ga...
Meri her kafiat main istkhra sath rahta ha...
Safar main ain mumkin hai main khud ko choor doon lakin...
Duaaian karnay waloon ka sahara sath rahta ha...
Meray mola nay mujhko chahtoon ki saltnat day di...
Magar pahli mohbat ka khasara sath rahta ha...
Agar Sayed meray lab pay mohbat hi mohbat hai...
To phir kis kay liyay nafrat ka dhara sath rahta ha...
Monday, January 21, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment