January Lot Ayi Hai
Wohi galeeyan wahi kochay wahi sardi ka mosam hai
Isi andaz say apna nazamay zeesat berham hai
Yah husnay itfaq aisa hai kay nikhri chandni bhi hai
Wahi her simat wayrani udasi tishngi si hai
Wahi hai beehar sochoon ki wahi tanhaeyan phir say
Musafar ajnabi or dashat ki pinhaeyan phir say
Mujhay sab yadd hai kuch saal pehlay ka yah qisa hai
Wahi lamha to weranay ka ik abad hisa hai
Meerri ankhoon main wo ik lamha mojod ab bhi hai
Woh zinda raat meray sath lakhoon bar jagi hai
Kisi nay raat ki tanhai main sargooshiyan ki thi
Kisi ki naram guftari nay DIL ko loriyan di thi
Kisi nay mrei tanhai ka sara karb banta tha
Kisi nay raat ki cunri main roshan chand tanka tha
Chamktay jugnoon ka sail ik baksha tha raatoon ko
Darakta sa naya unwan diya tha meray khaboon ko
Meray sheroon main wo ilham ki sorat main utra tha
Mazi ban kay jo lafzoon main pehli baar darka tha
Wo jis kay honay say zindgi nagma sarayi hai
Usay kehna kah behgi january phir loot ayi hai
Tuesday, January 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment