Kitni Aziyat se uss nay muj ko bhulaya ho ga
Meri yaadoun ne ussay khoob rulaya ho ga
Baat bay baat aankh jo uss ki chalki ho ge
Uss ne chahray ko bazaoun mein chupaya ho ga
Soocha ho ga uss ne din mein kai baar mujay
Naam hathayli per bi likh likh kar mataya ho ga
Jahan uss ne mera zikr sunna ho ga kissi say
Uss ki aankhoun mein koi aansoo tu aaya ho ga
Raat kay beeghnay tak neend na i ho ghee tujay
Tu ne takyaako bi seenay se lagaya ho ga
Hu kay nidhaal meri yadoun se tu ne jana
Meri tasveer pay sir apna tikaya ho ga
Poocha ho ga jo kisi ne teray halaat ka sabab
Tu ne batoun mein khoob uss se chupaya ho ga
Tuesday, January 15, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment