Mousam ke khushbo mein aksar gham ke khushbo mill jati haia
Moon kay baagh mein kaisay sawan sawan barsa aansoo
Apnay bachpan ka qissa hai aik tasveer banaye uss nay
Mehandi wallay haath rachay thai, beech hathailee tapka ansoo
Aik gaoon mein do barattain shaid dulha badal gaya
Mairi ankh mein taira ansoo tairi ankh mein maira aansoo
Pas say daikho jugnoo ansoo, door say daikhoo tara ansoo
Mein pholon ke saij pay baitha adhi raat ka tunha ansoo
Mairi in ankhoon mein aksar gham kay dono pehloo daikhay
Thehar gaya tu pathar ansoo, beh nikla tu darya ansoo
Payaar ajeeb talvar hai jis pay hum dono kay naam likhay hain
Tehni tehni kaliyaan ansoo, pathar pathar jharnaa ansoo
Tuesday, January 15, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment