Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
Wednesday, January 30, 2008
Tuesday, January 29, 2008
Jab Din Guzar Rehay Thay
Jab Din Guzar Rahey They ,
Hum Tum Se Keh Rahey They,
Mushkil Hai ab Bichharna,
Aur Door Tum se Rehna,
Tum Sun ke Hans Pari Thein,
Aur Hum Se Ye kaha Tha ,
Hum Tum ko Bhool Jaen,
Tum ko Na Yaad Aaein ,
Sun ker Tumhari Baten ,
Hum Chup Se Ho Gaye They,
Phir Tum Bichhar Gaye They,
Tum Se Bichhar ke Hum Bhi,
Her Lamha Gin Rahey They,
Mausam Badal Rahey They,
Aur Hum ke Jal Rahey They,
Her Sans Thi ke sakat ,
Khushbu Bhi Aur Hi Thi,
Barish ka Pehla Katra ,
Jab Bhi Gira Zameen Per,
Hum ko Lag Raha Tha,
Jungal Pighal Raha Tha,
Phir Hum Behal Gaye They,
Aur Ho Gaye They Aadi,
Dunya Ki Mehfilon Ke ,
Ab Phir Se Mil Gaye Ho ,
Aur Hum Se Keh Rahey Ho ,
MUSHKIL HAI AB BICHARNA,
AB DOOR TUM SE REHNA
Hum Tum Se Keh Rahey They,
Mushkil Hai ab Bichharna,
Aur Door Tum se Rehna,
Tum Sun ke Hans Pari Thein,
Aur Hum Se Ye kaha Tha ,
Hum Tum ko Bhool Jaen,
Tum ko Na Yaad Aaein ,
Sun ker Tumhari Baten ,
Hum Chup Se Ho Gaye They,
Phir Tum Bichhar Gaye They,
Tum Se Bichhar ke Hum Bhi,
Her Lamha Gin Rahey They,
Mausam Badal Rahey They,
Aur Hum ke Jal Rahey They,
Her Sans Thi ke sakat ,
Khushbu Bhi Aur Hi Thi,
Barish ka Pehla Katra ,
Jab Bhi Gira Zameen Per,
Hum ko Lag Raha Tha,
Jungal Pighal Raha Tha,
Phir Hum Behal Gaye They,
Aur Ho Gaye They Aadi,
Dunya Ki Mehfilon Ke ,
Ab Phir Se Mil Gaye Ho ,
Aur Hum Se Keh Rahey Ho ,
MUSHKIL HAI AB BICHARNA,
AB DOOR TUM SE REHNA
January Lot Ayi Hai
January Lot Ayi Hai
Wohi galeeyan wahi kochay wahi sardi ka mosam hai
Isi andaz say apna nazamay zeesat berham hai
Yah husnay itfaq aisa hai kay nikhri chandni bhi hai
Wahi her simat wayrani udasi tishngi si hai
Wahi hai beehar sochoon ki wahi tanhaeyan phir say
Musafar ajnabi or dashat ki pinhaeyan phir say
Mujhay sab yadd hai kuch saal pehlay ka yah qisa hai
Wahi lamha to weranay ka ik abad hisa hai
Meerri ankhoon main wo ik lamha mojod ab bhi hai
Woh zinda raat meray sath lakhoon bar jagi hai
Kisi nay raat ki tanhai main sargooshiyan ki thi
Kisi ki naram guftari nay DIL ko loriyan di thi
Kisi nay mrei tanhai ka sara karb banta tha
Kisi nay raat ki cunri main roshan chand tanka tha
Chamktay jugnoon ka sail ik baksha tha raatoon ko
Darakta sa naya unwan diya tha meray khaboon ko
Meray sheroon main wo ilham ki sorat main utra tha
Mazi ban kay jo lafzoon main pehli baar darka tha
Wo jis kay honay say zindgi nagma sarayi hai
Usay kehna kah behgi january phir loot ayi hai

Waqt Nahee
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......
Guftagoo Na Ki
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki
Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki
Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki
Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki
Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki
Kyun Dil Mein Chupaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Dosti Kya Hay ?
Dosti kia hay?
Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tu ZABI
Piyar ki inteha bhi dosti hai
Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tu ZABI
Piyar ki inteha bhi dosti hai
Meri Aankhon k
Meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai
Aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai
Bb kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin
Ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai
Baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey
Mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai
Mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga
Mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai
Regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida
Us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai
Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
Usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai

Wo Samnay Aaey
Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
Dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa
Aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
Dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa
Jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
Her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa
Weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
Yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa
Manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
Main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa
Naraaz agar wo hain mere nasheman se,
Main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa
Kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
Baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa......

Sunday, January 27, 2008
Rahe Wafa Main
Raah-e-Wafa main har su kaantay,Dhoop Ziyada sayye Kam,
Magar is raah per chalnay walay khush hi rehay,Pachtaye kam,
Umar guloon ki 2 din jis main yeh bhi Qayyamat beet gai,
K dast-e-Hawas nay nochay ziyada,Shaakhon per murjhaey kam,
Aah! yeh zaalim talkh haqeeqat,Jitnay bhi safeenay gharq hoay,
Aksar apni hi moaj main doobay , Toufaan say takraaye kam,
Dheemi dheemi chaal say hum ko yeh Rahguzar tai kerni hai,
Naaz tha jin ko apni taiz ravi per , Manzil tak woh aye kam,
Mujh say shikayat Duniya bhar ko,Shiddat-e-gham main ronay ki,
Mujh ko is ka roona kay aank main ansoo aye kam,
Ishq addab ka naam hai kaifi,Yeh bhi addab main shaamil hai,
Jis ki muhabbat dil main bassi ho us ki gali main jaye kam,

Rahe Wafa
Raah-e-Wafa main har su kaantay,Dhoop Ziyada sayye Kam,
Magar is raah per chalnay walay khush hi rehay,Pachtaye kam,
Umar guloon ki 2 din jis main yeh bhi Qayyamat beet gai,
K dast-e-Hawas nay nochay ziyada,Shaakhon per murjhaey kam,
Aah! yeh zaalim talkh haqeeqat,Jitnay bhi safeenay gharq hoay,
Aksar apni hi moaj main doobay , Toufaan say takraaye kam,
Dheemi dheemi chaal say hum ko yeh Rahguzar tai kerni hai,
Naaz tha jin ko apni taiz ravi per , Manzil tak woh aye kam,
Mujh say shikayat Duniya bhar ko,Shiddat-e-gham main ronay ki,
mujh ko is ka roona kay aank main ansoo aye kam,

Kya Din Thay
Kya Din Thay Suhaney
Jab Thay Humare Zamaney
Zara Si Baat Pe Hansi
Jo Chalti Hi Chali Jati Thi
Ab Kahan Dhoondein Woh Pal Beet Gaye Jo Pal
Waqai Yadein Reh Jati Hain
Jo Jab Yaad Aati Hain
Pehley Hansati Phir Rulati Hain
Kaisey Bhoolein Unka Saath
Jo Thay Humare Hum Jamaat
Waqai Duniya Ka Ye Khail Hai
Jis Ko Milna Hai
Uska Bichharna Zaroor !

Wo Ajnabi Se Chehray
Woh ajnabi ajnabi se chehray,woh khawab khaimay rawan dawan se,
Basay hoay hain abhi nazar mein,sabhi manazir dhuwan dhuwan se,
Yeh aks-e-dagh-e-shikast-e-paymaan,wo rung-e-zakhm-e-khulos-e-yaraan,
Main ghumgusaaroon mein sochta hoon,keh baat chheroon kahan kahan se,
Ye sungraizay adawtoon ke,woh aabgenay sakhawtoon ke...!!,
Dil-e-musafir qubool kar le, mila hai jo kuch jahan jahan se,
Bichharrnay walay bichherr chala tha to nisbtain bhi ganwa ke jata,
Teray liey shehr bhar se ab bhi main zakhm khaaon zubaan zubaan se,
Meri mohabbat ke wehmoon se paray tha tera wujood warna..!!,
Jahan jahan tera aks thera, main ho ke aya wahan wahan se,
Tu humsafar hai na humnafas hai,kisay khabar hai keh tu kidhar hai,
Main dastkain de ke pooch baitha makeen makeen se makan makan se,
Abhi mohabbat ka ism-e-aazam laboon pe rehnay de jan-e-MOHSIN,
Abhi hai chahat nai nai si, abhi hain jazbay jawan jawan se,

Chup Rehtay
Chup rehtey tu dum ghut'ta aur dard siwa hota,
Kuch munh sey nikal jata tu koi khafa hota,
Ye soch k hum phir bhi bethey rahey mehfil main,
Hum uth k chaley aatey tu aur bura hota,
Tarkash main jo baaqi hay wo teer bhi kyu rakha,
Jo kuch bhi irada tha, pora tu kya hota,
Hum dill main jaga detey, seene sey laga letey,
Jo teer tumhara tha, wo kaise khata hota,
Tum hum pe jafa karte, hum tum ko dua detey,
Be-los mohabbat ka kuch huq tu ata hota,
Apas ki shikr-runji ka ghairoo.n sey kya rishta,
Shikwa tumhain karna tha, tu hum sey kya hota,
Wo jab bhi zara rotha, chup bethey rahey hum bhi,
Ik baar mana letey, tu roz khafa hota,
Iqbaal sey kal tum nay jis lehjey main baatain keen,
Wo uth k chala jata mehfil sey, tu kya hota,

Mujhse Mat Pooch
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
Teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
Jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
Apne maathe ki woh lakkeer mita li meine,
Har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
Teri chaahat mein to umr bita li meine,
Mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
Waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li meine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roye the,
Bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine .....

Thursday, January 24, 2008
Labon Pe Harf ....
Labon pey harf na koi sawal rkhta tha
Kabi mein zabt mein itna kamal rkhta tha
Khabr kahan thi mujhe wo bhol jaye ga
Ik ik cheez jo meri sanbhal rakhta tha
Bichrty waqt bazahir to kuch na bola
Magr nigah mein so so sawal rkhta tha
Tum aye ho to sadayen suni yahan warna
Dil-shakusta badan ko nidhal rkhta tha
Wo muskara kr barhi dher chup rha
Hansi ki oat mein jaisy malal rkhta tha
Suna hai diya log usy boht sitaty hein
Jis shukhs ka kabi koi khiyal rkhta tha

Monday, January 21, 2008
Aik Baat Kahoon
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho
hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut.............
Tum apney apney lagtey ho
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana
yeh kiss uljhan mein rehtey ho....?
Kiya baat hai hum se keh daalo
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Muhabbat Zaat Hoti Hay
Mohabat zaat hoti hai
Mohabat zaat ki takmeel hoti hai
Koi jungal main tehray kisi basti main buss jaye
Mohabat sath hoti hai
Mohabat khusboon ki lay
Mohabat mosmoon ki dhun
Mohabat absaroon k nikhrtay panioon ka man
Mohabat jungloon main raqas kerti morni ka tan
Mohabat barf perti serdeoon main dhoop banti hai
Mohabat chilchalataygaram sehraoon main thundi chaoon ki maand
Mohabat ajnbi dunya main apnay gaoon ki maand
Mohabat DIL
Mohabat JAAN
Mohabat MOORTI hai
Aur kabhi jo dil kay mandar main kahian per toot jaye to
Mohabat kanch ki guryia
Fizaoon main kisi kay hath say ger choot jaye to
Mohabat aabla hai kerb ka
Aur phoot jaye to
Mohabat roog hoti hai
Mohabat soog hoti hai
Mohabat sham hoti hai
Mohabat raat hoti hai
Mohabat jihlmilati ankh main bersaat hoti hai
Mohabat neend ki rut main kahboon kay rastoon per sulagtay jaan ko aye
Rut jagoon ki ghatt hoti hai
Mohabat JEET hoti hai
Mohabat MAAT hoti hai

Hamesha Dair Kar Daita Hn Main
Hamesha deir Kar daita hoon main
Hamesha deir kar daita hoon mein
Hur kaam karney mein
Zaroori baat kehni ho
Koi wada nibhana ho
Usay wapis bulana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein
Madad karni ho us ki,
Yaar ki dharas bandhana ho
Boohat dareena rastoon per
Kisi sai milna jana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein
Badaltay mosamoom ki sair mein
Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho,
Kisi ko bhool jana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein
Kisi ko muat sai pehlay
Kisi gham sai bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch
Us ko ja kay batana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein
Hamesha deir kar daita hoon mein
Usay Apnay ......
Usay apnay farda ki fikar thi...
Wo jo mera waqfay haal tha...
Wo jo oss ki subho urooj thi...
Wo mera waqat zawal tha...
Mera darad kaisay wo janta...
Meri bat kaisay wo manta...
Wo to khud fana kay safar main tha...
Usy rokna bhi mahaal tha...
Wo jo oss kay samnay aa gaya...
Wahi rosni main naha gaya...
Ajab oski heebtay husan thi...
Ajab oska rang jamal tha...
Damay wapsi osy kiya hova...
Na wo rosni na wo tazgi...
Wo sitara kaisay bikhar gaya...
Wo to apni misal app tha...
Wo mujh say lipat ker roo diya...
Aur faqat wo itna keh saka...
Jisay janta tha wo zindgi...
Wo faqat wahmoon goman tha...
Wo mila to sadeoon kay badd bhi...
Meray lab pay koi gila na tha...
Usy meri chup nay rola diya...
Jisay goftgo main kamal tha...
Wo jo mera waqfay haal tha...
Wo jo oss ki subho urooj thi...
Wo mera waqat zawal tha...
Mera darad kaisay wo janta...
Meri bat kaisay wo manta...
Wo to khud fana kay safar main tha...
Usy rokna bhi mahaal tha...
Wo jo oss kay samnay aa gaya...
Wahi rosni main naha gaya...
Ajab oski heebtay husan thi...
Ajab oska rang jamal tha...
Damay wapsi osy kiya hova...
Na wo rosni na wo tazgi...
Wo sitara kaisay bikhar gaya...
Wo to apni misal app tha...
Wo mujh say lipat ker roo diya...
Aur faqat wo itna keh saka...
Jisay janta tha wo zindgi...
Wo faqat wahmoon goman tha...
Wo mila to sadeoon kay badd bhi...
Meray lab pay koi gila na tha...
Usy meri chup nay rola diya...
Jisay goftgo main kamal tha...
Bhanwar Ki Gode Main...
Bhanwar ki godd main jaisay kinara sath rahta hai...
Khuch aisay hi tumhara or humara sath rahta ha...
Mohabat ho k nafrat ho osi say maswara ho ga...
Meri her kafiat main istkhra sath rahta ha...
Safar main ain mumkin hai main khud ko choor doon lakin...
Duaaian karnay waloon ka sahara sath rahta ha...
Meray mola nay mujhko chahtoon ki saltnat day di...
Magar pahli mohbat ka khasara sath rahta ha...
Agar Sayed meray lab pay mohbat hi mohbat hai...
To phir kis kay liyay nafrat ka dhara sath rahta ha...

Farz Karo....
Farz karo hum ahalay wafa hoon...
Farz karo dewanay hoon...
Farz karo yah dono batain...
Jothi hoon afsanay hoon...
Farz karo yah sab batain ...
Khud say jor sonai hoo...
Farz karo kay orr hoon itni...
Adhi hum nay chuphi hoon ...
Farz karo yah nain tuhmaray ...
Such much kay may khanay hoon...
Farz karo thumain khush karnay kay...
Dhonday hum nay bhanay hoon...
Farz karo yah joog hai jo ...
Hum nay dohnag rachaya ho...
Farz karo bus yahi haqeqat ...
Baqi sab kuch maya ho...
Farz karo dewanay hoon...
Farz karo yah dono batain...
Jothi hoon afsanay hoon...
Farz karo yah sab batain ...
Khud say jor sonai hoo...
Farz karo kay orr hoon itni...
Adhi hum nay chuphi hoon ...
Farz karo yah nain tuhmaray ...
Such much kay may khanay hoon...
Farz karo thumain khush karnay kay...
Dhonday hum nay bhanay hoon...
Farz karo yah joog hai jo ...
Hum nay dohnag rachaya ho...
Farz karo bus yahi haqeqat ...
Baqi sab kuch maya ho...
Aaj Udas Hoon To.....
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ...
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya...
Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai...
Ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya...
Zindagi ki musafit ke woh chand din jo guzar chuke hain...
Na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya...
Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai...
Jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...
Guzra hua kal na tha mera,na hai mera our na ho ga kabhi...
Yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya...
Woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
Magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya...
Aana paye the tum to khudaar tha main bhi...
Yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya...
Us ki muskurahat tere liye ek fareb thi Z@B!...
Tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya...

Saturday, January 19, 2008
Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai

Sar agar jhukao to sanam khuda ho jaata hai
Jab talak kaam aate raho, humsafar kehlaate raho
Kaam nikal jaane par humsafar, koi doosra ho jaata hai
Ghum nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswaaion ka
Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jaata hai
Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin
Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jaata hai
Hara-bhara hai gulshan-e-yaar, yeh bahar ke din hai
Khizan aane par dekho ek ek patta, kaise juda ho jaata hai
Yahi sachchai hai, haqeeqat hai, yahi dastoor-e-zindagi hai
Kuch der milte hain humraahi,phir har koi tanha ho jaata hai...!!!

Friday, January 18, 2008
yaad
Saavan ka wo mousam tha….
Mutti ki b khushboo thee
Phoolon k piyaray chehray thay
Koyal ki b koo koo thee aor tum thay………..!
Bheega hua her pal tha
Chipkay huye kapray thay aung aung main thee masti c
Taiwer b kuch bigray thay aor tum thay……..!!
Barish ki vo boondain theen
Ya mae se tapaktee thee madhoshi ka aalam tha
Bijlee c lapaktee thee aor tum thay……….!!!
Baadal thay dhuvaan dhuvaan sa tha ruvaan runvaan her shaam
Meri suhaani thee khushboo thee ,kahaani thee aor tum thay…………!!!!
Her saanse piyasee piyasee thee dharkan main b haya c thee siskee thee
Tarastee seeher aah barastee se or tum thay………….!!!!!
Saavan to aub b aata hai Saaray he wo rung laata hai Lakin
Aik rung namaayan hai Jo aata hai…
Aor jaata hai Aor main hun……...!!!!!!

Thursday, January 17, 2008
Main roya to nahi hoon
Na janay kion mera kajal
Jab bhi dalo ankhoon main
Ab aksar phail jata hai
Main roya to nahi hoon
Tum tou jaanti hi ho in dinoon
Buhat hi thand hoti hai
Tab hi hai surkh meri naak
Main roya to nahi hoon
Kaha tou hai keh yunhi bas
Bheega hai daman ka kona
Choro tum fikar mat karo
Main roya to nahi hoon
Nahi udass kab hoon main
Ziyada kaam hai bas
Tahakawat tou ho hi jaati hai
Main roya to nahi hoon
Bahaar aii hai , woh ab bhi
Nahi aati tou na aye
Ab uski yaad main dekho
Main roya to nahi hoon
Bata daynaa usko jaa kar
Koi khush fehmi na palay
Waisey hi surkh hain akhain
Main roya to nahi hoon
Jab bhi dalo ankhoon main
Ab aksar phail jata hai
Main roya to nahi hoon
Tum tou jaanti hi ho in dinoon
Buhat hi thand hoti hai
Tab hi hai surkh meri naak
Main roya to nahi hoon
Kaha tou hai keh yunhi bas
Bheega hai daman ka kona
Choro tum fikar mat karo
Main roya to nahi hoon
Nahi udass kab hoon main
Ziyada kaam hai bas
Tahakawat tou ho hi jaati hai
Main roya to nahi hoon
Bahaar aii hai , woh ab bhi
Nahi aati tou na aye
Ab uski yaad main dekho
Main roya to nahi hoon
Bata daynaa usko jaa kar
Koi khush fehmi na palay
Waisey hi surkh hain akhain
Main roya to nahi hoon
Shaam Roz Aa Jaati Hai Mairey Darwazey Par

Mairi Tanhaai Ka Tamasha Daikhney Ke Liye
Sooraj Roz Nikal Aata Hai
Mujhey Umeed Dikhaney Ko
Chaand Bhi Pandra Bees Dinon Tak Jhalak Dikhata Hai
Aatey Jaatey Mousam Jaisey
Waswasey Aur Khof Bhi Aatey Hain
Andhaira Bhi Bisaat Bhar Darata Hai
Zindagi Bhi Door Kharri Hansti Hai
Kal Barish Ne Bhi Darawa Diya Kabhi Na Barasney Ka
Khizaan Ke Patey Bhi Ruswayion Say Daraney Lagey
Barf Tak Ne Apni Sard Banhon Mein Panah Deney Ko Kaha
Sabhi Aaye Baari Baari
Sirf Tum Nahin Aaye !!!

Jo Dard Dil Mein Hay
Jo dard dil mein hai bataya nahi jata
Jo dil pe guzra hai sunaya nahi jata
Zakhm aisa diya us zalim ne hamein
Ki us zakhm per marham lagaya nahi jata
Us bewafa ne na ki hum se wafa kabhi
Phir bhi us bewafa ko bewafa kaha nahi jata
Nazar ata hai jab bhi kahin wo hamein
To in ankhoun pe pehra lagaya nahi jata
Yaad ata hai wo her mehfil aur tanhai mein
Pata nahi kyoun us zalim ko bhulaya nahi jata
Kehta hai zamana hamein muskurane ko aye Niazi
Is dard bhare dil se muskuraya nahi jata

Tum ko ana ho ga
Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap Dekhna
Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

Tuesday, January 15, 2008
Shajar Se Tore K
Sabz shajar sey torre k rishta ab pachtatey hain
Pattey paooN k neechey aa ker shore machatey hain
Jitney rastey hain anjaney deis ko jatey hain
Janey walo! peechey peechey hum bhi aatey hain
Kuch merey terey dukh haiN,kuch dukh hain
hum sub kOley pathar barsa k aansu bun jatey hain
Apni apni majboori hai jo jiska hojaey
Such poocho to jhootey sarey rishtey naatey hai
Laakh jatan per bhi nahiN hotey soey ghar aabad
Basney waley chupkey sey dil meiN bus jatey hain
Humney khangaley saat samaundar,chaaney saat aflak.
Phir bhi aik jazeerey k qaidii kehlatey hain
Ye do chaar gharri ka milna yaar ghanimat hai
Tum bhi haal sunao,hum bhi sheir sunatey hain

Teri Yadon K Bina
Teri Yaadoon ke Bina koi Lamha Guzara Nahi"
Teri Yaadoon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahi
Aik pal Nahi jab Tumhey Humne Pukaara Nahi
Meri Naa kaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiyey
Agar aap Jeetey Hain to Main Haari Nahi
Ye Naqsh-e-Dard Kaisey Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahi
Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahi
Kar Rakhaa Hai Jisne Sarey Ghar Mein Ujaala
Ansoo Hai Mera yeh Koi Toota Howa Taara Nahi
Kis ko Galey Laga Ke Rooein Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahi
Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab
Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahi
Wo aa Ke Poonchh Dein Ansoo Humari Ankhon se

Mausam Ki Khushboo Main
Mousam ke khushbo mein aksar gham ke khushbo mill jati haia
Moon kay baagh mein kaisay sawan sawan barsa aansoo
Apnay bachpan ka qissa hai aik tasveer banaye uss nay
Mehandi wallay haath rachay thai, beech hathailee tapka ansoo
Aik gaoon mein do barattain shaid dulha badal gaya
Mairi ankh mein taira ansoo tairi ankh mein maira aansoo
Pas say daikho jugnoo ansoo, door say daikhoo tara ansoo
Mein pholon ke saij pay baitha adhi raat ka tunha ansoo
Mairi in ankhoon mein aksar gham kay dono pehloo daikhay
Thehar gaya tu pathar ansoo, beh nikla tu darya ansoo
Payaar ajeeb talvar hai jis pay hum dono kay naam likhay hain
Tehni tehni kaliyaan ansoo, pathar pathar jharnaa ansoo

Palkon Pe Aansuon
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
Us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
Zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
Ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
Jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
Aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
Kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
Jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
Hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
Woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
Chehre ka rang us se chupaya na jaa saka.
Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
Magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

Diyar-e-Ghair
Diyar-e-ghair main kaise tujhe sada dete
Tu mil b jaata to aakhir tujhe ganwa dete
Tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh werna
Dua wo kerte k hum aasman hila dete
Hamen ye Ghum raha ab k wo pukaren ge
Unhen ye zid thi k her baar hum sada dete
Wo tera gham tha k taseer mere lehje ki
K jis ko haal sunate usey rula dete
Tumhen bhulana hi awal to dastaras main nahi
Jo ikhtiyar b hota to kya bhula dete?
Tumhari yaad ne koi jawab hi na diya
Mere khiyaal k aansoo rahe sada dete
Sama'aton ko main ta umer kosta "Zabi"
Wo kuch na kehte magar hont to hila dete

Kae Din Se
KAYEE DIN SAY YEH KAISAY AAINON MEIN AA RAHA HOUN
MUJHY DAIKHO MAIN APNAY ANSOUN MEIN AA RHA HOUN
ABHI KUCH AUR APNA MUNTAZIR REHNA HAI MUJH KO
K MAIN AB K TMHARI KHUSHBOUN MEIN AA RHA HOUN
MERA TU DAKHL IS MEIN HO NAHIN SAKTA HAI KOYEE
JO KUCH DIN SAY TUMHARI ULJHANON MEIN AA RAHA HOUN
MERI MAUJAIN MOADAB HAIN SO AIK AAHISTIGI SAY
NAMI BUN KAR TUMHARAY SAAHILON MEIN AA RAHA HOUN
SITARAY GINTAY GINTAY DIN NIKAL AATA HAI AKSAR
MUHABAT KAR RAHA HOUN RAT JAGON MEIN AA RAHA HOUN
RAWANA HI MUJHAY REHNA HAI SHAM-E-ZINDAGI TAK
KEH APNAY AUR KISI KAY FAASLON MEIN AA RAHA HOUN
ABHI TU LOG HAIN AUR SHOR HAI MERAY PAS-O-PESH
YEH MAIN KIS TARAH KI TANHAIYON MEIN AA RAHA HOUN
MAIN ZAHIR HONAY WAALA HOUN DILON KI HASRATON MEIN
NA POORI HONAY WAALI KHAWAHISHON MEIN AA RAHA HOUN
KISI KA KHAWAB HOUN AUR TOOTNAY WAALA HOUN YA K
SARKISI KI PIYAS HOUN AUR BAARISHON MEIN AA RAHA HOUN
KABHI SAMJHO GAY KIYA KIYA HAIN TAHAIN POSHIDA MUJH MEIN
ABHI DAIKHO GAY KITNAY ZAAIQON MEIN AA RAHA HOUN
SAMANDAR MUJH SAY BAAGHI HO GAYA HAI IS LIYAY MAIN
SAFEENON SAY UTAR KAR KASHTIYOUN MEIN AA RAHA HOUN
MUJHAY JIS ROZ SAY APNA YAQEEN HONAY LAGA HAI ZABI
MAIN TAB SAY KAISAY KAISAY WAAHIMON MEIN AA RAHA HOUN

Kitni Azeat
Kitni Aziyat se uss nay muj ko bhulaya ho ga
Meri yaadoun ne ussay khoob rulaya ho ga
Baat bay baat aankh jo uss ki chalki ho ge
Uss ne chahray ko bazaoun mein chupaya ho ga
Soocha ho ga uss ne din mein kai baar mujay
Naam hathayli per bi likh likh kar mataya ho ga
Jahan uss ne mera zikr sunna ho ga kissi say
Uss ki aankhoun mein koi aansoo tu aaya ho ga
Raat kay beeghnay tak neend na i ho ghee tujay
Tu ne takyaako bi seenay se lagaya ho ga
Hu kay nidhaal meri yadoun se tu ne jana
Meri tasveer pay sir apna tikaya ho ga
Poocha ho ga jo kisi ne teray halaat ka sabab
Tu ne batoun mein khoob uss se chupaya ho ga

Main Hoon Ajnabi Teray Shehr Main
Mein hun ajnabi teray shehar mein , mujhey rastoon ka pata nahin
Mujhey qasidoon ki khabar to hai , abhi hasidoon ka pata nahin
Mera hal-e-dil bhi ajeeb hai , koi jaisay nazar saleeb hai
Tumhay dhektay hi ullat pallat , meri dhardknoon ka pata nahin
Na kissi nazar ko qarar hai , na kahin guloon pay nikhar hai
Yeh bar kaisi bahar hai , jahan titliyoun ka pata nahin
Tera naqsh ankh say beh gya , mera dil yeh dard bhi seh gya
Zara ehtiyat say chara-gar , ab in ansoun ka pata nahin
Wo to ankh bhi koi aur the , wo naqsh hi koi geer tha
Mera is say sadiyun ka bair tha , magar in dinoon ka pata nahin

Waqt-e-Judai
Ab wakt-e-judai hai mujhay ab alwida kah do
Ab phir wo tanhai hai mujhay ab alwaida kah do
Main lakh bura tahra hon yaron ki nazar may
Dil roo to raha hay magar aab alwida kah do
Meray aansoo to meray hain meri khushian tumhari hain
Mobarak tum ko yea khushian mujhay aab alwida kah do
Meray janay pay na rona mujhay tum yaad na karna
May tanha tha may tanha hon mujhay aab alwida kah do
Mujhay afsoos to hoga yon sab say door janay ka
Meri yadoon may tum sab ho mujhay aab alwida kah do
Kisi kay dard ki wajah kisi kay dukh ka may sabab
Bano ga aab kabhi na main mujhay aab alwida kah do
Mujhay choora tha apno nay mujhay apnaya tab tonay
Tera ahsan mand hon may mujhay aab alwida kah do
Meray aansoo nahi ruktay mujhay aab dard hota hay
Na mera dard barhnay do mujay aab alwida kah do
Mujhay jo piyar kartay thay mujhay jo apna kahtay thay
Wohi aab door hum say hain mujhay aab alwida kahdo
Mujhay kaflay ki talab na thi mujhay manzilo ki na chah thi
Mera dard mera tha humsafar mera dard meri hayat thi
Mujhay tonay chalna sikha dia mujhay manzilo ka pata dia
May na chal sakon ga tere sath aab : mujhay alwidda kah do...

Tmhain Muhabbat Nahee Kisi Se
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Gaye Dinoon Ki Rafaqtoon Main Be
Tum Yeh Keh K Bicher Gaye They
“ Mujhe Muhabbat Nahi Kisi Se”
Jo Aj Berson K Baad Phir Mily Ho
To Phir Usi Sukhan Per Aray Ho
“Mujhe Muhabbat Nahi Kisi Se”
Humain Yeh Kaise Yaqeen Aye
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Kaha Jo Tum Ne Wo Sab Sahi Hai
Ager Muhabbat Nahee Kisi Se
To Ser Per se Guzerny Wali
En Qayamtoon Se Pyaar Kion?
Humain Wo Yaad Hain Jo Kuch Pal
Tumahri Sangat Main They Guzare
Tumahre Pahlu Ki Lazatoon Mian
Nishaat Bhi Hai Fasurdgi Bhi
Hayat Bhi Hai Sapurdgi Bhi
Tumhare Hontoon Mian Russ Buht Hai
Kah Jiss Ka Qatra Bhi Bas Buht Hai
Tumhari Ankhon K Jamm Pii Loon
Jo Ho Saky To Her Shaam Pi Loon
Per Humare Dil Mian Wo Jo Tum Ho
Tumhare Dil Main Wo Hum Nahi Hain
Tum Apni Termeem E Zaat Ker Lo
Gumaan K Asmaan Se Uttro
Zameen Pe A Ker Baat Ker Lo
Hum Se Nahi To Choro
Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo
Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Gaye Dinoon Ki Rafaqtoon Main Be
Tum Yeh Keh K Bicher Gaye They
“ Mujhe Muhabbat Nahi Kisi Se”
Jo Aj Berson K Baad Phir Mily Ho
To Phir Usi Sukhan Per Aray Ho
“Mujhe Muhabbat Nahi Kisi Se”
Humain Yeh Kaise Yaqeen Aye
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Kaha Jo Tum Ne Wo Sab Sahi Hai
Ager Muhabbat Nahee Kisi Se
To Ser Per se Guzerny Wali
En Qayamtoon Se Pyaar Kion?
Humain Wo Yaad Hain Jo Kuch Pal
Tumahri Sangat Main They Guzare
Tumahre Pahlu Ki Lazatoon Mian
Nishaat Bhi Hai Fasurdgi Bhi
Hayat Bhi Hai Sapurdgi Bhi
Tumhare Hontoon Mian Russ Buht Hai
Kah Jiss Ka Qatra Bhi Bas Buht Hai
Tumhari Ankhon K Jamm Pii Loon
Jo Ho Saky To Her Shaam Pi Loon
Per Humare Dil Mian Wo Jo Tum Ho
Tumhare Dil Main Wo Hum Nahi Hain
Tum Apni Termeem E Zaat Ker Lo
Gumaan K Asmaan Se Uttro
Zameen Pe A Ker Baat Ker Lo
Hum Se Nahi To Choro
Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo
Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Kabhi Aansu Kabhi Khushboo
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai J o Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar
Raat B aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar
Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Rahi Hoon Teri Bhoola Hua Vada Bankar
Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Subscribe to:
Posts (Atom)