Wednesday, July 2, 2008

Yeh dua hai k aatish-e-ishq main

Yeh dua hai aatish-e-ishq main tu meri tarah jala karay
Na naseeb ho tujhay baithna, tery dil main derd utha karay

Tujhay meri hi si khalish rahay, tujhay meri hi tapish rahay
Jaisay tu nai mera jalaya dil, waisay tera bhi jala karay

Rahay na murad raqeeb bhi, na dikhai tujh ko khuda khushi
Na naseeb sherbet-e-wasal o sada zehr-e-gham tu piya karay

Jo kisi k dil ko dukhai ga woh zerar zaroor uthai ga
Woh saza zamanay sai pai ga, jo kisi sai mil ker dagha karay

Khair sai aain phir woh din tujhay chain na aai mujh bin
Main galay sai tujh ko na lagaon, phir tu meri minnatain kia kray

No comments:

Power Clicks