Wednesday, July 2, 2008

Yahi bahut hai ke

Yahi bahut hai ke dil us ko dhoond laaya hai
Kisi ke saath sahi wo nazar to aaya hai

Karon shikayatein takta rahon ke pyaar karon
Gaye bahar ki soorat wo laut aaya hai

Wo saamne tha magar ye yaqeen na aata tha
Wo aap hai ke meri Khwahishon ka saaya hai

Azab dhoop ke kaise hain baarishein kya hain
Faseel-e-jism giri jab to hosh aaya hai

Main kya karonga agar wo na mil saka 'Amjad'
Abhi abhi mere dil mein Khayaal aaya hai.....

Amjad Islam Amjad

No comments:

Power Clicks